Buy Hindi Bhagavad Gita Online
Author: His Divine Grace A. C. Bhaktivedanta Swami Prabhupada
Bhagavad Gita Yatharoop, yeh duniya mei sabse adhik bikne wala sanskaran hai. Isliye, yadi aap Bhagavad Gita ko padhna chahte hai ya phir kisi mitr ko uphaar me dena chahte hai, to aap ko Bhagavad Gita Yatharoop lena chahiye.
Srila Prabhupada, jinhone Bhagavad Gita ka tatparya likha aur isse anuvadit kiya hai, ve Bhagavan Shri Krishna ke ek Shudh Bhakt hain. Iske alawa, Krishna svayam Bhagavad Gita mei batate hain ki sabhi ko eh guhya gyan apne priyajano ko sunana chahiye.
Is sanskaran mei Bhagavad Gita ka sanskrit shlok ke saath saath Sanskrit shabd ka arth bhi hai. Isise samjhna saral ho jata hai. Itna hi nahi, Krishna ke vachno ko vistaar se samjhne ke liye Srila Prabhupada dvara tatparya hai.
Bhagavad Gita ke 700 Shlok aapko jeevan ka bahmulya uddhesh prastut karenge. to, Aaj hi apni yeh yatra shuru karein.
Aur haan, kai maahan log, jaise ki Mahatma Gandhi, Albert Einstein, Carl Jung Aur kai aur Bhagavad Gita ko ucch maan kar uski atyant sarahna karte aaye hain.
Is Pustak mei Kya Milega
- 20 Panno Ki Bhumika naye paathako ko Bhagavad Gita ke bare mei spasht pristhbhumi pradan karne deta hai. Yeh aapko jatil vishyon ko samajhne mei madad karta hai.
- Bhagavad Gita ke 18 Adhyaya mei wah sabkuch hai jisse aap ek sukhi jivan vyapan kar sakenge.
- pustak ke ant shlokanukramanika (Verse Index) se aap jaane maane shlok ko aasani se sandarbhit kar sakenge
- itna hi nahi, isme jatil vaidik shabdo ke liye ek vishesh shabdavali hai
Reviews
There are no reviews yet.